Thursday, December 13, 2012

Duniyan me yun hi hota hai. Dil tu kyon rota hai.

Wanna forget something but I can't, wanna remember somethings but can't. Jindagi aise mod pe aagayi hai, jahan har mod aasan nahi hai, har mod khushi nahi dene wali hai, par ab yahi bacha hai, aur isi ka naam Zindagi hai.

Me bus yahin keh sakta hun,
"Kasam se, Usey Pane ki Khwahish To Bahut Thi Magar,
Mujhe Us Se Dur Karne Ki, Duaa Karne Wale Zyada Nikle..!!

Here are few lines by Jawed Akhtar sahab, read by his son in the movie ZNMD, I cant stop hearing these lines over and over again,

Jab jab dard ka baadal chhaya, Jab gham ka saya lehraya;
Jab aansoo palkon tak aya, Jab yeh tanha dil ghabraya;

Humne dil ko ye samjhaya,...
Dil aakhir tu kyun rota hai, Duniya mein yunhi hota hai;
Yeh jo gehre sannaate hain, Waqt ne sabko hi baante hain;
Thoda gham hai sabka kissa, Thodi dhoop hai sabka hissa;
Aankh teri bekaar hi nam hai, Har pal ek naya mausam hai; 

Kyun tu aise pal khota hai, Dil aakhir tu kyun rota hai..:(  


Aur aaj hi kuch lines padhi, .. 
"Is duniya me apna koi nahi hai, ye jindagi bhi maut ki amanat hai aur to aur ye Sharir bhi smashan ki amanat hai."

No comments: