Tuesday, April 1, 2014

Shayari's : Explaining the way of life.


"Udte hue parinde"

Iqbal says:
Udne de in Parindon ko Azaad fiza me Galib... 
Jo tere Apne honge wo laut aayenge kisi Roz.

Galib Replies:
Na Rakh Umeed-E-Wafa kisi Parinde se Iqbal... 
Jab par nikal aatey hain tab Apne bhi aashiaana bhool jate hai.



 "Sharaab, Masjid aur Khuda"

Ghalib:

Ghalib Sharab Peene De Masjid Mein Beth Ker,
Ya Wo Jagah Bata Jahan Khuda Nahi.
 
Iqbal: 
 Masjid Khuda Ka Ghar Hai Peene Ki Jagah Nahi,
Kafir K Dil Mein Ja Wahan Khuda Nahi.
 Faraz:
Kafir K Dil Se Ayah On Ye Dekh Ker Faraz,
Khuda Mojood Hai Wahan Per Usay Pata Nahi.

Wasi:
Khuda To Mojood Dunia Mein Her Jaga Hai,
Tu Jannat Mein Ja Wahan Peene Se Mana Nahi.

Ayyaz:
Peene K Liya Mukadas Jagay Na Duhand Ayyaz,
Ager Tujha Duniya Sa Hi Ba-Khaber Raha Na Hai.
Peene Ki Per Kia Zarorat Hai Khuda Ki Kasam,
Sajda Ma Juka Raha Din Raat Is K Nasha Zindagi Bhair Nahi Utra Ga

Source: Internet